Badnam zamane main Mohabbat nhi kartay,
Dil walay to dushman se bhi nafrat nhi kartay,
Ek bar jisay chaha sad Uss ka rahe,
Hum log amaanat me khyanat nhi kartay,
Tanhai main karlete hain yaad aansu baha kar,
Zahir kabhi hum apni ibaadat nhi kartay,
Waqt aane par maaloom yeh ho jaye ga tum ko,
Hum sirf dikhaway ki Mohabbat nhi kartay,
Likhtay hain faqat tumhare lie ghazlain,
Har shakhs pe hum aisi inayat nhi kartay...
------------------------------
Log Aksar Ye Kaam Kartay Hain,
Raaz Ki Baatein Aam Kartay Hain,
Main Milaata Hun Bichhde Logon Ko,
Wo Ladaane Ka Kaam Kartay Hain,
Kaisay Nadan Hain Log Duniya Mein,
Pathhron Se Kalaam Kartay Hain,
Tujhay Dekha Nhi Magar Phir Bhi,
Hum Zindagi Tere Naam Kartay Hain,
Sar Se Paani Guzar Chuka ANWAR,
Aaj Qissa Tamaam Kartay Hain,
------------------------------
Aisay bhi MOHABBAT ki sazaa deti hai duniya,,
Mar jayein tou jenay ki dua deti hai duniya,,
Hum kon say momin thay jo ilzaam na sehtay,,
Pathhar ko bhagwan bana deti hai duniya .
Ye zakhm MOHABBAT ka hai dikhana na kisi ko,,
Laa kay saray bazar saja deti hai duniya,,
Qismat per karo naaz na itna bhi faqeero,,
Hathon ki lakeeron ko bhi mita deti hai duniya,,
Marnay kay liye majboor tou karti hai ye lekin,,
Jeenay kay tareeqay bhi sikha deti hai duniya,,
------------------------------
Yahan Khamosh Nazron ka Nazara kon banta hai?
Bohat gehray samandar ka kinara Kon banta hai?
Chalo hum dekhte hain ab khud ko barbad kar kay bhi
Humari barbadiyon mein b humara kon banta hai?
Bina phal kay darakhton ko yahan pe kata jata hai,
Kisi b besahara ka sahara kon banta hai?
Koi sheesha agar toote to wapas jur nhi sakta,
Muhabt me fanaa ho kar dubara kon banta hai?
Chalo tum aazma lo sabhi apne parayon ko,
Tumhare dard me pyare humare siwa tumhara kon banta hai?
------------------------------
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment